Azim Noor

Azim Noor Lives in Rudrapur, Uttarakhand, India

हाल जानकर क्या करोगे। इश्क़ है तुमसे,क्या'इश्क़ करोगे।'

www.khayaleazim.wordpress.com

  • Latest
  • Popular
  • Repost
  • Video

Sukoon ki talash hai, Bechain sa firta hu, Dard wohi purane hai, Koi nayi baat nahi, saap bahut pale hai, haat ki aasteen mein, Dhoke kai khaye hai, peet per apno ke khanjer bhi jhele hai, Narazgi ki baat nahi ab nafrat si hoti hai, Haqiqat ye hai ki ab mein koi aitraaz nahi karta, Mein bolta sabse hu per baat nahi karta. ©Azim Noor

#khayaleazim #snowpark #Feeling  Sukoon ki talash hai,
Bechain sa firta hu,
Dard wohi purane hai,
Koi nayi baat nahi,
saap bahut pale hai,
haat ki aasteen mein,
Dhoke kai khaye hai,
peet per apno ke khanjer bhi jhele hai,
Narazgi ki baat nahi
ab nafrat si hoti hai,
Haqiqat ye hai ki ab mein
koi aitraaz nahi karta,
Mein bolta sabse hu
per baat nahi karta.

©Azim Noor
#nojohindi #kahani #Sands  Red sands and spectacular sandstone rock formations Abhi tak ankha hai kirdar mera,per
mere bina kitno ki kahaniyan adhuri hai.

©Azim Noor
#khayaleazim #YearEnd  Year end 2023 Ye saal khatam per is umeed ka kya karu,
Kuch khwahishen mujhe naye saal me b hai.

©Azim Noor
#khayaleazim #nojohindi #samay  Waqt nikal raha hai haat se,
Majboor hu apne halaat se.
Soch mein hu kal raat se,
Naraaz hu kis se, kis ki baat se.

©Azim Noor
#khayaleazim #standAlone #Kismat #alone  kya hua ke zamane ne tukdaya hai,
sabhi insaan ko mola ne banaya hai.
kuch likha hoga meri kismat mein,
jo mujhe tanhai se ladna sikhaya hai.

©Azim Noor

khayal ek zindegi

khayal ek zindegi

Sunday, 23 July | 11:35 am

6 Bookings

Expired
Trending Topic