English
insta handle: @jazbaat___e__dil
Manzilon ko chahne walon raston mein bura kya hai Safar se ghabrane walon safar mein bura kya hai Tay faaslon ko jaldi karna chahte ho thodi si der hobhijaye to bura kya hai Apni besabri se khudke sapno se muh pherne walon Sabr karne mein bura kya hai Aaj nahi hua kal nahi hua karke nirash hojane walo Parso hojaye to bura kya hai Yeh jo tum intezar karne se nafrat karte ho Thoda sa rukjane mein bura kya hai Arey bhai apne mann ki na ho to apne aap ko marne walo Jeene mein bura kya hai Mann ka kya hai aj idhar to kal udhar mann ko thoda behlane mein bura kya hai Zaroori nahi ki ek hi sapna dekha jaye teen chaar dekhne mein bura kya hai sapna toote bhi to kya thoda role thoda gussa karle chahe to ek baar aur koshish kar Waise har sapna pura ho kya zaroori hai kuch na hopaye bhi to bura kya hai Bura lagta hai par Thoda sa sehja sehle apne se aur tucche kisiko dekhle Agar woh jee raha hai to tere jeene mein bura kya hai Agar woh hans raha hai to tere hansne mein bura kya hai Agar koshish ki nakaam hua seekha thoda dil toota bas phir Insaan hai saccha hai accha hai Tujhmein bura kya hai Kuch nahi tujhmein acha kya hai Kya nahin.... ©Amit
Amit
2 Love
Rooh ke jaane ke baad jism ka jo haal hota hai Gharwalo ke jaane ke baad ghar ka wahi haal hota hai.... ©Amit
1 Love
Main woh musafir hoon jiske aage saw raahein hai Par safar hai ke aaghe badhta nahi kya karun Jahan jana hai wahan ka rasta pata nahi Main ruk gaya hoon kisi musafir ke intezaar mein par jisse poocho kehta hai use pata nahi Ab to bass chalta ja raha hoon main aage aage Ab kisiko to pata karna padega jab kisiko pata nahi... ©Amit
Ae khuda dua hai tujhse mujhe kuch bhi aisa na dena jo mera na ho Bewajah shohrat se pyaari mujhe gumnaami hai.... ©Amit
Ek shayar se bada shikari koi nahi hota Log hiran ko chanchal kehte hai Kabhi jazbaat ki man ki chanchalata dekhi hai Shayar unhe pakad ke kagaaz mein kaid karta hai.... ©Amit
Sheeshon ke golon mein shayad mera bachpan chupa tha Jab tak woh hath mein the mera bachpan tha unke chootte hi bachpan bhi chala gaya Mujhe aaj bhi mera bachpan uss sheeshe mein kaid nazar aata hai kambhakt bada hona boht kuch cheen leta hai.... ©Amit
You are not a Member of Nojoto with email
or already have account Login Here
Will restore all stories present before deactivation. It may take sometime to restore your stories.
Continue with Social Accounts
Download App
Stories | Poetry | Experiences | Opinion
कहानियाँ | कविताएँ | अनुभव | राय
Continue with
Download the Nojoto Appto write & record your stories!
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here