Manzilon ko chahne walon raston mein bura kya hai
Safar se ghabrane walon safar mein bura kya hai
Tay faaslon ko jaldi karna chahte ho thodi si der hobhijaye to bura kya hai
Apni besabri se khudke sapno se muh pherne walon
Sabr karne mein bura kya hai
Aaj nahi hua kal nahi hua karke nirash hojane walo
Parso hojaye to bura kya hai
Yeh jo tum intezar karne se nafrat karte ho
Thoda sa rukjane mein bura kya hai
Arey bhai apne mann ki na ho to apne aap ko marne walo
Jeene mein bura kya hai
Mann ka kya hai aj idhar to kal udhar mann ko thoda behlane mein bura kya hai
Zaroori nahi ki ek hi sapna dekha jaye teen chaar dekhne mein bura kya hai
sapna toote bhi to kya thoda role thoda gussa karle chahe to ek baar aur koshish kar
Waise har sapna pura ho kya zaroori hai kuch na hopaye bhi to bura kya hai
Bura lagta hai par
Thoda sa sehja sehle apne se aur tucche kisiko dekhle
Agar woh jee raha hai to tere jeene mein bura kya hai
Agar woh hans raha hai to tere hansne mein bura kya hai
Agar koshish ki nakaam hua seekha thoda dil toota bas phir
Insaan hai saccha hai accha hai
Tujhmein bura kya hai
Kuch nahi
tujhmein acha kya hai
Kya nahin....
©Amit
#Poetry #Love #Nojoto #Shayar #Trending #Poet #writer #feelings #poem