White Salon gujar gaye mujhe apni love love se mile huwe ! Par fir bhi wo yaade purani aaj tak ham bhule nahi ! Kisse kahaniya jarur adhuri rah gai, par is janam nahi to janam dar janam lenge, par un adhuri rah chuki kahaniyo ko pura jarur karenge !
Ye dil kal bhi adhura tha, aaj bhi he aur shayd kal bhi adhura hi rahega ! Kuch baate aisi hoti he dil me jise dil me hi dafan kar dena accha rahta he fir bhi un yaado me se kuch panne nikal kar apni love love ko yaad kar lete hain !
Jindgi chahe chhoti ho ya bari fark nahi parta kyoki mera man jab kabhi nahi lagta to kuch gazal ya khud ke likhe nagme ya tarane gaa lete he !
Kabhi likha karte the ham apne naam ke sath uska naam apne nagme khas me par ab na to likhe wo paane rahe na hi un adhure se tarano ka jikra kahi bhi !
Sach ki kasam kahu to un ek ek tashveero ko fir apne hatho se likhe ek ek khat ke panno ko apne inhi hatho se far kar dheere dheere jalata gaya, jalata gaya !
Ab jab kabhi yaad aati he to kuch sero shayri likh dete he, kabhi filmi gazal to kabhi khud ki pasand ka kuch gaa baja lete he !
Ye kambakht dil hi to he, na chain se jine deta he, na chain se sone, fir bhi apne man ka kuch gakar apne man ko mana lete hain !
Thanks Nojoto Friends Followers ❤️
©Sardar Jagjeetsingh Kalra
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here