Meer Allahabadi

Meer Allahabadi

I am a teacher by profession and philosopher by passion I write poems particularly in urdu with a pet name Meer Allahabadi.

  • Latest
  • Popular
  • Video

White Ghaib me rah kar kalaam karti hai. Khalwat me hujjat tamaam karti hai. Fikr aql aur kya danishmandi. Ek ana sab kuch tamaam karti hai. Ikhlaaq se jo seenche kirdaar ka shajar. Ye duniya unhi ko salaam karti hai. Hasad kibr aur ye bugz-o-keena. Ye aapas me rakhne aam karti hai. Zulm sahna bhi to zulm jaisa hai. Ye ravish nasle ghulaam karti hai. Deen haq ibadat aur imaan ki fikr. Dar haqeeqat ye fitne aam karti hai. Faheem hai jo wo zara door hi rahte hai. Had se zyada qurbaten badnaam karti hai. Mano jo salah to yahi hai faqat meer. ye zubaan ki tezi jeena haraam karti hai. ©Meer Allahabadi

#sad_dp  White Ghaib me rah kar kalaam karti hai.
Khalwat me hujjat tamaam karti hai.

Fikr aql aur kya danishmandi.
Ek ana sab kuch tamaam karti hai.

Ikhlaaq se jo seenche kirdaar ka shajar.
Ye duniya unhi ko salaam karti hai.

Hasad kibr aur ye bugz-o-keena.
Ye aapas me rakhne aam karti hai.

Zulm sahna bhi to zulm jaisa hai.
Ye ravish nasle ghulaam karti hai.

Deen haq ibadat aur imaan ki fikr.
Dar haqeeqat ye fitne aam karti hai.

Faheem hai jo wo zara door hi rahte hai.
Had se zyada qurbaten badnaam karti hai.

Mano jo salah to yahi hai faqat meer.
ye zubaan ki tezi jeena haraam karti hai.

©Meer Allahabadi

#sad_dp

16 Love

White Mujhse meri khamoshi ki wajah poochte ho. tum kaidy se uski saza poochte ho. Israar kya kare khata pe hum magar. sab jaante ho kyun bewajah poochte ho. Maukoof to na tha meri ruswai ka sabab. kyun mujhse tum meri nizaa poochte ho. Madfoon hai muddat se bojh tale hum. humne kyun lagayi ye nida poochte ho. Haal-e-zaahir tha meri wafaon ka sila. hum par kyun chai ye fiza poochte ho. Ek waqt tha wo paikar-e-ismat thi meri meer. kadmon tale raundi hui qisa poochte ho. ©Meer Allahabadi

#Sad_Status  White Mujhse meri khamoshi ki wajah poochte ho.
tum kaidy se uski saza poochte ho.

Israar kya kare khata pe hum magar.
sab jaante ho kyun bewajah poochte ho.

Maukoof to na tha meri ruswai ka sabab.
kyun mujhse tum meri nizaa poochte ho.

Madfoon hai muddat se bojh tale hum.
humne kyun lagayi ye nida poochte ho.

Haal-e-zaahir tha meri wafaon ka sila.
hum par kyun chai ye fiza poochte ho.

Ek waqt tha wo paikar-e-ismat thi meri meer.
kadmon tale raundi hui qisa poochte ho.

©Meer Allahabadi

#Sad_Status

14 Love

White Sookhe hue lab ye khali larazte haath. sahma hua dil aur ye shikasta zaat. ghaur jo karo to ye kalaam karti hai. bhoole hue falsafe aam karti hai. Umeeden tooti hui ye bujhe hue jazbaat. muntazir bayaan ko hai ek ankahi si baat. Mujhse meri khalwat aksar sawaal karti hai. bewajah hi khamakha malaal karti hai. Ye mutamanni aankhen aur wasl ki raat. kisi se kya chupa hai na waqt na haalaat. Wo faqat hume dikhane ko jalaal karti hai. haraam hai jo sheh use halaal karti hai. Hai makrooz saansen chidhe hue afraat. besabr se dikh rahe khud ahl-e-mohtaat. bole jo agar to lisaan kamaal karti hai. jo saqit rahti hai jeena muhaal karti hai. ©Meer Allahabadi

#sad_shayari  White Sookhe hue lab ye khali larazte haath.
sahma hua dil aur ye shikasta zaat.
ghaur jo karo to ye kalaam karti hai.
bhoole hue falsafe aam karti hai.

Umeeden tooti hui ye bujhe hue jazbaat.
muntazir bayaan ko hai ek ankahi si baat.
Mujhse meri khalwat aksar sawaal karti hai.
bewajah hi khamakha malaal karti hai.

Ye mutamanni aankhen aur wasl ki raat.
kisi se kya chupa hai na waqt na haalaat.
Wo faqat hume dikhane ko jalaal karti hai.
haraam hai jo sheh use halaal karti hai.

Hai makrooz saansen chidhe hue afraat.
besabr se dikh rahe khud ahl-e-mohtaat.
bole jo agar to lisaan kamaal karti hai.
jo saqit rahti hai jeena muhaal karti hai.

©Meer Allahabadi

#sad_shayari

13 Love

White Kahne ko kai rishte hai apne bhi duniya me. dekhon agar mujhe to shaad nazar aate hai. Hamdard to nazar aate hai ba-zaahir me sabhi. mauke par khade bas ek aad nazar aate hai. Aafiyat ki umeed karoon agar bhi to kinse. jo badan me misle mawaad nazar aate hai. Milte hai jo mahfil me bade ikhlaaq se aaj. neeyat me nifaaq-o-mafaad nazar aate hai. Shaf-faaq libaas aala khushboo zewar zeb-e-tan. kalaam kare to ba-khuda ajdaad nazar aate hai. Dhoka na khana inke zahir se tum ae meer. ye mehaz apni duniya me abaad nazar aate hai. ©Meer Allahabadi

#good_evening_images  White Kahne ko kai rishte hai apne bhi duniya me.
dekhon agar mujhe to shaad nazar aate hai.

Hamdard to nazar aate hai ba-zaahir me sabhi.
mauke par khade bas ek aad nazar aate hai.

Aafiyat ki umeed karoon agar bhi to kinse.
jo badan me misle mawaad nazar aate hai.

Milte hai jo mahfil me bade ikhlaaq se aaj.
neeyat me nifaaq-o-mafaad nazar aate hai.

Shaf-faaq libaas aala khushboo zewar zeb-e-tan.
kalaam kare to ba-khuda ajdaad nazar aate hai.

Dhoka na khana inke zahir se tum ae meer.
ye mehaz apni duniya me abaad nazar aate hai.

©Meer Allahabadi

White Hum jinki sarparasti me parwaaz chadhte hai. jinka wajood-e-aqdas sarapa karam hota hai. baap ghar ke liye bada aham hota hai. Zulm samajhte hai unki tarbiyat ko hum aulaad. zehno me aqsar yahi waham hota hai. baap ghar ke liye bada aham hota hai. Thakta hai marta hai kya kuch na karta hai. mujahid hai wo jisme kibr adam hota hai. baap ghar ke liye bada aham hota hai. Ameer ho ya ghareeb maalik ho ya ghulaam. uske hi dum se ye kunba haram hota hai. baap ghar ke liye bada aham hota hai. Hath ho agar sir pe to khidmat kar lo meer. baad me mehaz nadamat sir kham hota hai. baap ghar ke liye bada aham hota hai. ©Meer Allahabadi

#fathers_day  White Hum jinki sarparasti me parwaaz chadhte hai.
jinka wajood-e-aqdas sarapa karam hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

Zulm samajhte hai unki tarbiyat ko hum aulaad.
zehno me aqsar yahi waham hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

Thakta hai marta hai kya kuch na karta hai.
mujahid hai wo jisme kibr adam hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

Ameer ho ya ghareeb maalik ho ya ghulaam.
uske hi dum se ye kunba haram hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

Hath ho agar sir pe to khidmat kar lo meer.
baad me mehaz nadamat sir kham hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

©Meer Allahabadi

#fathers_day

15 Love

Zindagi ek safar guzar jaye to kya. chalte chalte nazar thehar jaye to kya. Muddat se talaash me firta hoon dar-ba-dar. thak kar jo baithoon wo mil jaye to kya. Umeed karna chodon bhi to kaise chodon main. taqdeer ka waraq hai palat jaye to kya. Mangoon tumhe kaise main khud ke liye meer. main khaak hoon wo falaq taras jaye to kya. Khamosh dua karoon main khaliq se raat bhar. hum par bhi ye bahaar baras jaye to kya. Izhaar kare tumse ya na kare abhi. isi kash ma kash ke chalte mar jaye to kya. Thaam lo hume ke thak chuka hoon ab. isi aas me sambhal kar gir jaye to kya. Qismat ko hum par kuch aaya hai raham. ek tumhare ewaz mera sab lut jaye to kya. ©Meer Allahabadi

#happypromiseday  Zindagi ek safar guzar jaye to kya.
chalte chalte nazar thehar jaye to kya.

Muddat se talaash me firta hoon dar-ba-dar.
thak kar jo baithoon wo mil jaye to kya.

Umeed karna chodon bhi to kaise chodon main.
taqdeer ka waraq hai palat jaye to kya. 

Mangoon tumhe kaise main khud ke liye meer.
main khaak hoon wo falaq taras jaye to kya.

Khamosh dua karoon main khaliq se raat bhar.
hum par bhi ye bahaar baras jaye to kya. 

Izhaar kare tumse ya na kare abhi.
isi kash ma kash ke chalte mar jaye to kya.

Thaam lo hume ke thak chuka hoon ab.
isi aas me sambhal kar gir jaye to kya. 

Qismat ko hum par kuch aaya hai raham.
ek tumhare ewaz mera  sab lut jaye to kya.

©Meer Allahabadi
Trending Topic