White Sookhe hue lab ye khali larazte haath.
sahma hua dil aur ye shikasta zaat.
ghaur jo karo to ye kalaam karti hai.
bhoole hue falsafe aam karti hai.
Umeeden tooti hui ye bujhe hue jazbaat.
muntazir bayaan ko hai ek ankahi si baat.
Mujhse meri khalwat aksar sawaal karti hai.
bewajah hi khamakha malaal karti hai.
Ye mutamanni aankhen aur wasl ki raat.
kisi se kya chupa hai na waqt na haalaat.
Wo faqat hume dikhane ko jalaal karti hai.
haraam hai jo sheh use halaal karti hai.
Hai makrooz saansen chidhe hue afraat.
besabr se dikh rahe khud ahl-e-mohtaat.
bole jo agar to lisaan kamaal karti hai.
jo saqit rahti hai jeena muhaal karti hai.
©Meer Allahabadi
#sad_shayari