White Ghaib me rah kar kalaam karti hai. Khalwat m | English Shayari

"White Ghaib me rah kar kalaam karti hai. Khalwat me hujjat tamaam karti hai. Fikr aql aur kya danishmandi. Ek ana sab kuch tamaam karti hai. Ikhlaaq se jo seenche kirdaar ka shajar. Ye duniya unhi ko salaam karti hai. Hasad kibr aur ye bugz-o-keena. Ye aapas me rakhne aam karti hai. Zulm sahna bhi to zulm jaisa hai. Ye ravish nasle ghulaam karti hai. Deen haq ibadat aur imaan ki fikr. Dar haqeeqat ye fitne aam karti hai. Faheem hai jo wo zara door hi rahte hai. Had se zyada qurbaten badnaam karti hai. Mano jo salah to yahi hai faqat meer. ye zubaan ki tezi jeena haraam karti hai. ©Meer Allahabadi"

 White Ghaib me rah kar kalaam karti hai.
Khalwat me hujjat tamaam karti hai.

Fikr aql aur kya danishmandi.
Ek ana sab kuch tamaam karti hai.

Ikhlaaq se jo seenche kirdaar ka shajar.
Ye duniya unhi ko salaam karti hai.

Hasad kibr aur ye bugz-o-keena.
Ye aapas me rakhne aam karti hai.

Zulm sahna bhi to zulm jaisa hai.
Ye ravish nasle ghulaam karti hai.

Deen haq ibadat aur imaan ki fikr.
Dar haqeeqat ye fitne aam karti hai.

Faheem hai jo wo zara door hi rahte hai.
Had se zyada qurbaten badnaam karti hai.

Mano jo salah to yahi hai faqat meer.
ye zubaan ki tezi jeena haraam karti hai.

©Meer Allahabadi

White Ghaib me rah kar kalaam karti hai. Khalwat me hujjat tamaam karti hai. Fikr aql aur kya danishmandi. Ek ana sab kuch tamaam karti hai. Ikhlaaq se jo seenche kirdaar ka shajar. Ye duniya unhi ko salaam karti hai. Hasad kibr aur ye bugz-o-keena. Ye aapas me rakhne aam karti hai. Zulm sahna bhi to zulm jaisa hai. Ye ravish nasle ghulaam karti hai. Deen haq ibadat aur imaan ki fikr. Dar haqeeqat ye fitne aam karti hai. Faheem hai jo wo zara door hi rahte hai. Had se zyada qurbaten badnaam karti hai. Mano jo salah to yahi hai faqat meer. ye zubaan ki tezi jeena haraam karti hai. ©Meer Allahabadi

#sad_dp

People who shared love close

More like this

Trending Topic