White ZINDAGANI
Zindagi ki raahon mein khud ko kho diya hai,
Sab apne hain, par apna koi nahi lagta hai.
Chal rahi hai duniya, phir bhi tanhaayi ka ehsaas,
Kaun hai jo samjhe, kahan hai mera koi paas?
Maa ke saath hoon toh sab theek lagta hai,
Uske bina har lamha khaali sa dikh ta hai.
Chup si khamoshi hai, jo dil mein utre ja rahi,
Har pal yeh tanhaayi mujhe dheere se duba rahi.
Socha tha, sab theek hoga, bas yahi raasta hai,
Par har mod pe lagta hai, jaise kuch adhura sa hai.
Main galat hoon ya yeh duniya ka dhokha hai,
Kaun samjhega yeh jo dil ke andar chhupa hai?
Kabhi toh koi hoga, jo meri baat samjhega,
Meri takleefon ko apne pyaar se dhundh lega.
Apne bhi ajnabi se lagne lage hain,
Aur jo paraye the, wo hamesha doori mein base hain.
©SAINDU
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here