English
garmiyon ki chhutiyaan daadi se milne ka intzaar kissa mere bachpan ka har saal ka tha yaar uski aakhein mera rasta dekhti thi kitne din rukna hai ye jaate hi poochti thi aur wapsi ke din jaise hi kareeb aate the wo rone lag jaati thi dadi ka pyaar,dulaar aur fatkaar saari yadein samait ke jab aati thi wo rah me baithi takti thi jab tak main aati thi nazar us din se lekar agli garmi tak baikraar main karti thi dadi se milne ka intzaar ©Neelam shukla
Neelam shukla
3 Love
sahil par khade Suraj ko doobte dekhna jaise wo kehta ho ,ki doobna bhi jaroori hai... phir kal ubharne ke liye haan jaroori hai nikharne ke liye doobne ke dar se ladnaa padega haan lehron me hamein utarna padega... ©Neelam shukla
2 Love
122 View
किसी दिन मैं kisi din main yun hi befikr ho jaun jhamele sab bhulaakar khud ko khud se milaane zimmedarion ko sulaakar yun hikuch palon ke liye kisi ko nazar na aaun kisi din main khoob khul ke gungunaaun chupaa ke rakkhe jo ghungroo baandh ke jhoom jaun kisi din main yun hi baadal khoob barse kisi ke dekhne ka dar na ho main bheeg jaun kisi din main khule aasmaan ke neeche chaand taare nihaarun..... ©Neelam shukla
4 Love
dukh me muskurana alag baat hogi rona samanya baat hai par kisi ko hasaao alag baat hogi kuch khona kuch paana chalta rehta hai dukhda koun sunega sunke sab haste hain gamgeen hokar haasye vyang chedo to alag baat hogi gam me bhi chalo muskuraien na roye khud na rone dein geeli palkon se muskuraien to alag baat hogi....... ©Neelam shukla
ye ghar mera hai mera hai na! main ise sawarti hun raat din main ise nihaarti hun raat din kabhi tumhare saath to kabhi tumhare bin haan tum paas ho mere par saath ho na! prathmikta nahi hun tumhari pata hai batate kyun ho? main sabse baad me hun jatate kyun ho? kuch shartein hai tumse pyar pane ke liye sharton ki mohtaaj hi sahi pyar to hai na......,. ©Neelam shukla
7 Love
You are not a Member of Nojoto with email
or already have account Login Here
Will restore all stories present before deactivation. It may take sometime to restore your stories.
Continue with Social Accounts
Download App
Stories | Poetry | Experiences | Opinion
कहानियाँ | कविताएँ | अनुभव | राय
Continue with
Download the Nojoto Appto write & record your stories!
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here