Khamoshi mein chhupi hai ek ankahee baat,
Har dhadkan ke saath jhalakti hai raat.
Chup rehkar bhi dil ke raaz bol jaati hai,
Tanhaai apne dukh khud tol jaati hai.
Tute armaanon ka ek silsila hai,
Inn khamoshi mein bas dard ka mela hai.
Har shikayat ko hawa bhi sun leti hai,
Deewarein bhi ab kahani bun leti hai.
Chand bhi lagta hai aaj udaas sa,
Sitaron ka mehfil mein hai koi khaas sa.
Khamoshi ke saath ab dosti si ho gayi,
Zindagi mein bas ek kami si ho gayi.
©Naveen Dutt
wow 🌹 🌹 🌹