English
White Bistar ki silwaton me siskiyan dabi hai In siskiyan me kahi tanhaiyan dabi hai Mat palto tum purane panno ko Na dhoondho sukoon bhare lamho ko Beet gaya wo mausam mohabbat ka Wapis kaha aaega wo daur begana sa Ab silwaten bhi bayan krengi jajbaat meri Siskiyon me chupi hui awaj meri Sun sako to sunne ki koshish karo Smjhne samjhnae ki furasat ab kaha bachi hai Ab hisse me bs jimmedaariyan bachi hai ©anamika.ks
anamika.ks
15 Love
Hamne itihas banana seekha tha aaj ke daur me itihas mitana sikha rhe hai chaliye is naye daur me itihas ko yaad kare HAPPY GANDHI JAYANTI ©anamika.ks
25 Love
317 View
Kabhi aao too dikhaye tumhe Kuch aise ham samjhaye tumhe Kaise beeti hai ye raaten Aise kaise lafjon me batlayen tumhe In sitaro se poocho woo chand akela q hai Shayd wo hi mera haal dohraye tumhe Ki shamo ke jugnu ki trh jalte hai ham Wo jalan kaise mehsoos karwaye tumhe Jo raaten beeti hai tanhaiyon me Wo kaise ginwaye tumhe Ki hr sitaara gawah hai meri intejar ka Ab lafjon me kaise samjhayen inhe Tum aao too dikhaye tumhe Kuch aise ham samjhaye tumhe ©anamika.ks
16 Love
jaise maine apni takdeer chupa rakhi hai haa...apne chote se purse me maine tumhari ek tasveer chupa rakhi hai tumhari us tasveer se un baaten krna tumhari yaad me un fariyaden krna un fariyadon me tumhari balaen lena jaise maine apne muthi apni lakeer chupa rakhi hai haa... maine tumhari ek tasveer chupa rakhi hai ©anamika.ks
0 Love
rishte kamjor tb pdte haii jab ek dusre se umeed toot jati hai umeed is baat ki ...ki koi hai umeed is baat ki... ki pyar hai umeed is baat ki... ki shayd bulane pr woo phir aaye rishte tb kmjor pdte hai jb intejar khtm ho jaye intjar... kisi apne ka intejar ki koi aaega hame manane hmari siskiyon ko mitane hmare beech jo fasle hai use mitane rishta kamjor pd jata hai unhi jimmedaiyan uthane me unhi bs zindgi bitane me haa.... rishte unhi kamjor pd jate hai ©anamika.ks
You are not a Member of Nojoto with email
or already have account Login Here
Will restore all stories present before deactivation. It may take sometime to restore your stories.
Continue with Social Accounts
Download App
Stories | Poetry | Experiences | Opinion
कहानियाँ | कविताएँ | अनुभव | राय
Continue with
Download the Nojoto Appto write & record your stories!
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here