Tanya gupta

Tanya gupta

oblivious.....😇

  • Latest
  • Popular
  • Repost
  • Video

White Pata nahi kyu aj teri bahut zarurat hai aa jao na ek hawa ka jhonka bankar pas baithkar kuch bate karte hai, kuch pareshaniya baant lete hai . aa jaye jo nami kisi ki ankhon me , un keemati motiyon ko sanjo kar , phir se khulkar thoda has lete hai . dhunti hai ye najre tujhe har pahar. aa jao na ek hava ka jhonka bankar. tujhe kareeb se mahsus karna hai, teri ankhon me bas kho jana hai . tere bina tujhse hi bate karna hai, sayad yahi tere hone ka ayat hai. ab in band ankhon ko kholna hai.. aur inhe kholte hi ho jaye tera didar aa jao na ek hava ka jhonka bankar.. ©Tanya gupta

#zarurat  White Pata nahi kyu aj teri bahut zarurat hai 
aa jao na ek hawa ka jhonka bankar 

pas baithkar kuch bate karte hai, 
kuch pareshaniya baant lete hai .
aa jaye jo nami kisi ki ankhon me ,
un keemati motiyon ko sanjo kar ,
phir se khulkar thoda has lete hai .

dhunti hai ye najre tujhe har pahar.
aa jao na ek hava ka jhonka bankar.

tujhe kareeb se mahsus karna hai,
teri ankhon me bas kho jana hai .
tere bina tujhse hi bate karna hai,
sayad yahi tere hone ka ayat hai.
ab in band ankhon ko kholna hai..

aur inhe kholte hi ho jaye tera didar
aa jao na ek hava ka jhonka bankar..

©Tanya gupta

#zarurat

14 Love

White kuch aisa nata hai tere mere darmiyaan , bayan karti hai ankhon ki ye khamoshiyan dilon ke ye jajbat lafzon se kahin hai pare, ankhon me jhalakte hai khwabon ke vo silsile. inme chhupaye rakhe hai kayi kisse purane, khule asmano me gujate hai banke ye tarane. bhar ati hai inme kuch yadon ki siskiyaan, bayan karti hai ankhon ki ye khamoshiyan mai na janu tu sach hai ya koi chhalavan, ban gya hai in sapno me apna ek karvan. badhti hai har pal bechaini tujhe janne ki, aur samne baithkar tujhe ektak niharne ki. in faslon me bi hai ahsaso ki najdikiyan, kuch aisa nata hai tere mere darmiyaan. ©Tanya gupta

#love_shayari #darmiyaan  White kuch aisa nata hai tere mere darmiyaan ,
bayan karti hai ankhon ki ye khamoshiyan

dilon ke ye jajbat lafzon se kahin hai pare,
ankhon me jhalakte hai khwabon ke vo silsile.
inme chhupaye rakhe hai kayi kisse purane,
khule asmano me gujate hai banke ye tarane.

bhar ati hai inme kuch yadon ki siskiyaan,
bayan karti hai ankhon ki ye khamoshiyan 

mai na janu tu sach hai ya koi chhalavan,
ban gya hai in sapno me apna ek karvan. 
badhti hai har pal bechaini tujhe janne ki,
 aur samne baithkar tujhe ektak niharne ki.

in faslon me bi hai ahsaso ki najdikiyan,
kuch aisa nata hai tere mere darmiyaan.

©Tanya gupta

White Gungunate galiyon se jab gujre ye hava dil ko mere ek ankahe ahsaas ne chhuaa hava banke udna chahun in rahon me , khushbu banke maheku in fizaaon me, chidiya banke chaheku sari dishaon me, jhum lu madmast hoke apni adaon me, har ek jhonka lage man ko ruaan ruaan dil ko mere ek anjahe ahsaas ne chhuaa rah jate hai yad banke in lamho ke nishan, kuch pal ke liye ate hai ye banke mehman, chadh raha hai surur in havaon ka parvaan, in khubsurat ahsaso me jeena hua asaan, kholi jab band ankhe to lamhe hue dhuaan phir gungunate galiyon se jab gujre ye hava.. ©Tanya gupta

#hava  White Gungunate galiyon se jab gujre ye hava 
dil ko mere ek ankahe ahsaas ne chhuaa

hava banke udna chahun in rahon me ,
khushbu banke maheku in fizaaon me,
chidiya banke chaheku sari dishaon me,
jhum lu madmast hoke apni adaon me,

har ek jhonka lage man ko ruaan ruaan 
 dil ko mere ek anjahe ahsaas ne chhuaa

rah jate hai yad banke in lamho ke nishan, 
kuch pal ke liye ate hai ye banke mehman,
chadh raha hai surur in havaon ka parvaan,
 in khubsurat ahsaso me jeena hua asaan,

 kholi jab band ankhe to lamhe hue dhuaan
phir gungunate galiyon se jab gujre ye hava..

©Tanya gupta

#hava ka jhoka

16 Love

White Chal akele tay krna hai ye safar, jeena hua muskil ab har pahar.. khwahishen abi kuch aur hai, sapne bi hue kuch chur hai, manjile abi bhut door hai, raste bi to sab magroor hai, ghoot bhar me pina hai ye jahar jeena hua muskil ab har pahar.. chal ! akele tay krna hai tujhe ye safar .. ©Tanya gupta

#Tulips  White Chal akele tay krna hai ye safar,
jeena hua muskil ab har pahar..

khwahishen abi kuch aur hai,
sapne bi hue kuch chur hai, 
manjile abi bhut door hai, 
raste bi to sab magroor hai, 
ghoot bhar me pina hai ye jahar
jeena hua muskil ab har pahar.. 

chal ! akele tay krna hai tujhe ye safar ..

©Tanya gupta

# tanha safar #Tulips

17 Love

White Bujhati ja rahi hai man ki har ek vo aas sayad hi kuch bacha ho jo rah gya pass badle se lag rahe the halat par , sabkuch to vaise ka vaisa hi haii. jo samne ubhar raha hai aaj akar , yahi to thi meri zindagi ki hakikat . sabkuch jankar bi kyuu ye man hai udaas sayad hi kuch bacha ho jo rah gaya pass.. vaqt ka marham bhar dega har ghav, ek mod ayega aisa jo layega badlav.. pal rakhe the man me aise bi vaham, tootane lgege kabhi ye sare bharam.. nahi tha kabhi mere man ko iska koi ahsas sayad hi kuch bacha ho jo rah gaya pass ... bujhati ja rahi hai man ki har ek vo aas.. ©Tanya gupta

 White  Bujhati ja rahi hai man ki har ek vo aas
sayad hi kuch bacha ho jo rah gya pass

badle se lag rahe the halat par ,
sabkuch to vaise ka vaisa hi haii.
jo samne ubhar raha hai aaj akar ,
yahi to thi meri zindagi ki hakikat .
sabkuch jankar bi kyuu ye man hai udaas
sayad hi kuch bacha ho jo rah gaya pass..

vaqt ka marham bhar dega har ghav,
ek mod ayega aisa jo layega badlav..
pal rakhe the man me aise bi vaham,
tootane lgege kabhi ye sare bharam..
nahi tha kabhi mere man ko iska koi ahsas
sayad hi kuch bacha ho jo rah gaya pass ...

 bujhati ja rahi hai man ki har ek vo aas..

©Tanya gupta

# kuch bharam

12 Love

Chamak chandani bichhi hui hai aj charo or , niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor In tej havao ka har jhoka kar rha hai bechain , badla badla sa hai kuch inka rukh aaj ki rain.. in ujali ujali raton me chalti hai jab ye havaye , man karta hai sath chalu inke jaha khi le jaye. chale jab jab ye purvayi dil me machta hai shor.. aur chamak chandani bichhi hui hai aj charo or.. asman me kale kale badal chhaye hai ghanghor , aur usme ujle chand ko dekh ho gayi bhavvibhor.. kya karu ye man ata hi nahi aaj mere vash me, jana hai in havao ke piche aj jane kis talash me.. man kahe faili is chandani ka kan kan lu mai bator, aur niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor .. ©Tanya gupta

 Chamak chandani bichhi hui hai aj charo or , 
niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor

In tej havao ka har jhoka kar rha hai bechain ,
badla badla sa hai kuch inka rukh aaj ki rain..
in ujali ujali raton me chalti hai jab ye havaye ,
man karta hai sath chalu inke jaha khi le jaye.

chale jab jab ye purvayi dil me machta hai shor..
aur chamak chandani bichhi hui hai aj charo or..

asman me kale kale badal chhaye hai ghanghor ,
aur usme ujle chand ko dekh ho gayi bhavvibhor..
kya karu ye man ata hi nahi aaj mere vash me, 
jana hai in havao ke piche aj jane kis talash me..

man kahe faili is chandani ka kan kan lu mai bator,
aur niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor ..

©Tanya gupta

# chamak chandani

12 Love

Trending Topic