White Jo Bina awaaz k hame apni zindagi soump deta hai o baap hota hai,
Jo Khud k aansuo ko apni muskurath k peeche daba kar,
sab ki zindagi me Khushi k rang bhar deta hai, o baap hota hai
Vo garmi me tapta hai, baarishon me bheegta hai, apna ghar chalane k liye milon door chalta hai,
Baap chalta hai, rukta nahi. baap sehta hai ,par kuch kehta nahi.
Sabki khushiyaan khareedte khareedte uske jhoote phatt jaate hain,
koyle ki tarah roz jalte jalte uske talve ghiss jaate hain,
Haan Ye sach hai k 9 mahine apne kok me rakhti hai maa,
Par Jo khayalon me usse bunta hai, o baap hota hai.
Baap rakhwaala hai, baap himmath vala hai, baap khushiyaan khareene waala hai
Jo Bina kahe apni majbooriyon ko Khushi ki chaddar me dafan kardeta hai o baap hota hai,
Jo Bina pankhe k sokar poori raat Ghar par pehra deta hai, o baap hota hai,
Jo khud k paankh kaat kar hamare liye ek khula aasmaan deta hai o baap hota hai ,
Apni poori hasti barbaad kar k jo dusron ko aabad rakhta hai, o baap hota hai,
Sach kehte Hain k baap par bohot Kam likha gaya hai,
Kyun k baap sirf ek lafz me kabhi nahi buna Gaya hai
-ayeshasiddique
©ayesha Siddique
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here