77 saal.....
itne saal beet gaye desh ki aazadi ko
par aaj bhi lagta hai ki kal ki baat hai
bahut si unchaiya haasil kar li hai humne
par aaj bhi kuch unchaiyon mein manzil ki aas hai
maante hain ab bhi kai buraiya hai aas paas
jo dehsatgardi ki nazrein gadaye baithi hai
or jinse hume ladna hai
lekin aaj k din hum in baaton k saath kuch achi baatein yaad nahi kar sakte
jinse badha desh k gaurav or jo hai swabhiman ka pratik
jinke aage natmastak hai sansaar humara
jinke kaaran hi mil saki yeh khuli fizaa hume
jinhone hume haq k liye ladna sikhaya
jinhone desh k khaatir ghar choda or chod diya apno ko
jisne apna aisho aaram chhoda or dikhaya ek sapna iss desh ko
aaj hum sab milkar unhe naman karte hai or yeh sapath lete hai ki
bhale hi burai kitni hi badh jaaye
par insaaniyat k farz ada karne waale apna dharm nhi bhulenge
or agar chunna hoga desh ya kisi ek ko kabhi kisi mein bhi
hum khud se upar khuda se upar apne desh ko sarvopari rakhenge........
©shweta Agarwal (sunshine)
#IndependenceDay #nojotostreaks #Hindi #hindipoetry #thought #77saal
#aazadi #15august #Gaurav #swabhiman