Main saagar hoon, gehraai mein raaz chupaye,
Upar leheron ka shor, andar shanti ke saaye.
Khara pan hai meri fitrat, mitti ka hai sparsh,
Nadi ke meethe sapne, dil mein sada ek harsh.
Chhalakti leherein kahin, kahin gehrayi ka bhed,
Main do dharatiyon ka sangam, na haara, na jeet.
Khoj raha hoon vo nadi, jo mile mujhe ek din,
Saagar ke is kharepan mein, mile jeevan ka amrit bin.
©Ishant Jaiswal
#sagarkinare