Dear Diary Pichle kayi saalo se humari zindagi mein kya chal raha hai,
kya ho raha hai,
kuch hume pata hi nahi chalta,
bs subaah se shaam hoti hai,
ghar ke kaam, mobile, tv, namaaz, quraan,
sajde bs phir naya din,
aur aisa karte - karte kayi saal ho gaye hai,
hume toh pata hi nahi zindagi mein
kuch paana bhi chahte hai ya nahi,
past ki baaton se hi nahi nikal paate,
apni nadaniyon se,
pata nahi zindagi mein kuch banenge bhi ya nahi,
bs Overthinking, anxiety yeh sab laga rehta hai
zindagi mein aisa lagta hai,
khush hote hai , din bhar logon se baatien,
bhai - behan se jhagdaa hota rehta hai,
par phir jab raaton ko neend nahi aati,
zindagi ki talkh baatein yaad aati hai,
aane waale kal ki fikar sataane lagti hai,
allah par yakeen hai
pata nahi kyun yeh dimaag nahi sunta humari.
2/10/24
⏰11:37 p. m.
(ubaida khatoon S S) ✍️
©Ubaida khatoon Siddiqui
#diary
#Ubaidakhatoon
#ubaidawrites
#Thoughts
#diary