White Ishq ka samundar hai par kinara nahi milta,
Dil bechain hai par sahara nahi milta.
Teri yaadon mein guzarti hai har ek raat,
Par tujh tak pahunchne ka koi raasta nahi milta.
Chahta hoon tujhe har saans se zyada,
Par tere bina jeene ka hunar nahi milta.
Mohabbat ki raho mein akele chal raha hoon,
Par tujh tak jaane ka koi imkaan nahi milta.
©Avishek Dey
#sad_shayari zindagi sad shayari