White Mann ke kone mein chhupi baatein,
Dil ke darwaze par dastak deti hain.
Raat ke sannaton mein guftagu karti hain,
Par sunne wala koi nahi hota.
Aankhon mein chhupa hai dard ka samandar,
Par aansuon ko behne ki ijaazat nahi.
Dil chahte hai chillake kahoon,
Par shabdon ko bandhan se azadi nahi.
Kaash koi ho jo samajh sake,
Mere khamoshi ke gehray matlab.
Jo bina kahe jaan le,
Mere dil ke chhupaye jazbaat.
Kitne khayalon ka bojh uthaya hai,
Kitni baar apne aap ko samjhaya hai.
Par kabhi kabhi dil keh deta hai,
"Kaash ek baar toot kar ro loon."
Zindagi ke safar mein,
Kya har insaan akela hota hai?
Ya shayad hum khud hi,
Apni duniya se dur ho jaate hain.
Toh agar tu sun raha hai, aye khuda,
Mujhe ek dost de, jo samjhe mujhe.
Mere alfaaz ko nahi,
Mere khamoshi ko samjhe.
©Naveen Dutt