White Haq bhi utna ki saamne Wale ko bandish na lage ,
Na ho koi use ghutan na khud ko hi
o ek pinjre me band kaidi lge ,
Khamoshi se agar samjh sake sab kuch to sahi hai ,
Ki meri awaz use kato ki tarah na chubhe ,
Ahsaaas mere agar samjh sake to samjhe ,
Nahi to khkar usse sunne ko kahu ,
Aur meri har bate use bojh si lage ,
Uski bate bhi sunu aur khamoshi bhi ,
Samjhu uske har ahsaaaso ko ki kvi apne
ahsaaaso ko us par jabardasti na dalu ,
Muskuraye wo to uski muskurahat ki wajah mai banu ,
Uski udasi ki wajah banne ke bad mai kvi khud ko na kosu,
Rahu mai hamesa khud me magan ,
Mai kahi uski zindagi ka koi lamha nahi chinu ,
Jiye wo zindagi apni marzi se,
mai kvi uski zindagi jeene me koi pareshani na banu.
©Ritika Aditya Dubey
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here