Rahimuddin Eraki

Rahimuddin Eraki Lives in Dhanbad, Jharkhand, India

I am not alone Allah is always with me. Thousands of frnd is useless when he is not hlp at the moment of work. My What's up No 9608838576 🇮🇳 🇮🇳🇮🇳👳🇮🇳👳🇮🇳👳🇮🇳👳🇮🇳👳

  • Latest
  • Popular
  • Video

White SHIRK SAWAAL: Kisi se Shirk ya Kufr ho jaaye toh kya kare ? JAWAAB: Tauba aur tajdeede Imaan kare biwi waala ho toh tajdeede nikha kare aur mureed ho toh tajdeede baiyyat bhi kare. SAWAAL: Shirk aur Kufr ke alaawa koyi dusra gunah ho jaaye toh maafi ki kya surath hai ? JAWAAB: Tauba kare Khudaaye Ta'ala ki baargah me roye gid gidaaye apni galti par naadim wa pasheema ho aur dil me pakka ahad kare ke aub kabhi aisi galti na karunga, sirf zuban se tauba tauba keh lena tauba nahi hai. SAWAAL: Kya har qism ka gunah tauba se maaf ho sakta hai ? JAWAAB: Jo gunah kisi bande ki haqtalafi se ho maslan kisi ka maal gazab kar liya, kisi par tohmath lagaayi ya zulm kiya toh inn gunahon ki maafi ke liye zaruri hai ke pehle uss bande ka haq waapis kiya jaaye ya usse maafi maangi jaaye, fir Khudaaye Ta'ala se tauba kare toh maaf ho sakta hai. Aur jis gunah ka ta'alluq kisi bande ki haqta'lafi se nahi hai balki sirf Khudaaye Ta'ala se hai, uski doo qisme hai ek woh jo sirf tauba se maaf ho sakta hai jaise sharaab noshi ka gunah aur dusre woh jo sirf tauba se maaf nahi ho sakte hai jaise namaazon ke na padhne se gunah iske liye zaruri hai ki waqt par namaazon ke adaa na karne ka jo gunah huwa usse tauba kare aur namaazon ki kya qaza padhe agar aaqiri umr me kuch qaza reh jaaye toh unke fidiyah ki wasiyat kar jaaye. ©Rahimuddin Eraki

#Motivational  White SHIRK

SAWAAL: Kisi se Shirk ya Kufr ho jaaye toh kya kare ?

JAWAAB: Tauba aur tajdeede

Imaan kare biwi waala ho toh tajdeede nikha kare aur mureed ho toh tajdeede baiyyat bhi kare.

SAWAAL: Shirk aur Kufr ke

alaawa koyi dusra gunah ho jaaye toh maafi ki kya surath hai ?

JAWAAB: Tauba kare Khudaaye

Ta'ala ki baargah me roye gid gidaaye apni galti par naadim wa pasheema ho aur dil me pakka ahad kare ke aub kabhi aisi galti na karunga, sirf zuban se tauba tauba keh lena tauba nahi hai.

SAWAAL: Kya har qism ka gunah tauba se maaf ho sakta hai ?

JAWAAB: Jo gunah kisi bande

ki haqtalafi se ho maslan kisi ka maal gazab kar liya, kisi par tohmath lagaayi ya zulm kiya toh inn gunahon ki maafi ke liye zaruri hai ke pehle uss bande ka haq waapis kiya jaaye ya usse maafi maangi jaaye, fir Khudaaye Ta'ala se tauba kare toh maaf ho sakta hai. Aur jis gunah ka ta'alluq kisi bande ki haqta'lafi se nahi hai balki sirf Khudaaye Ta'ala se hai, uski doo qisme hai ek woh jo sirf tauba se maaf ho sakta hai jaise sharaab noshi ka gunah aur dusre woh jo sirf tauba se maaf nahi ho sakte hai jaise namaazon ke na padhne se gunah iske liye zaruri hai ki waqt par namaazon ke adaa na karne ka jo gunah huwa usse tauba kare aur namaazon ki kya qaza padhe agar aaqiri umr me kuch qaza reh jaaye toh unke fidiyah ki wasiyat kar
jaaye.

©Rahimuddin Eraki

Tauba Kaise Kare

13 Love

White 21/Zil Hijjah /1445 28/06/2024 BIDA'ATH KA BAYAN: SAWAAL: Bida'ath kise kehte hai? aur uski kitni qisme hai ? JAWAAB: Istilaahe Sharaa (Islami Zaban) me Bida'ath aise cheez ke ijaad karne ko kehte hai jo Huzur Swallallaahu alaihi wa sallam ke zaahiri zamaane me na ho khwah woh cheez deeni ho ya duniyawi(AshATullamaath Jild awwal safa 125) aur Bida'ath ki teen qisme hai Bida'athe Hasna, Bida'athe Sayyia, Bida'athe Mubah. Bida'athe Hasna woh Bida'ath hai jo Qur'aan wa Hadees ke wasool wa qawaid ke mutabiq ho aur unhi par qiyaas kiya gaya ho uski doo qisme hai. Awwal Bida'athe Waajiba jaise Qur'aan wa Hadees samajhne ke liye ilme nahav ka seekhna aur gumrah firke maslan Khaarji, Raafzee, Qaadiyani aur Wahabi wagairah par rad ke liye dalaayil qayam karna. Duwwam Bida'athe Mustahaba jaise madrason ki taamir aur har woh neik kaam jiska riwaaj ibtidaaye zamaane me nahi tha jaise azaan ke baad salaat pukaarna, durre muqtaar babul azaan me hai ki azaan ke baad Assalatu Wasallamu Alaika Ya Rasoolullaah Swallallaahu alaihi wa sallam pukaarna, maahe Rabbiul Aakhiar sun 781 Hijri me jaari huwa aur ye Bida'athe Hasna hai. ©Rahimuddin Eraki

#Motivational  White 21/Zil Hijjah /1445
28/06/2024

BIDA'ATH KA BAYAN:

SAWAAL: Bida'ath kise kehte hai? aur uski kitni qisme hai ?

JAWAAB: Istilaahe Sharaa (Islami Zaban) me Bida'ath aise cheez ke ijaad karne ko kehte hai jo Huzur Swallallaahu alaihi wa sallam ke zaahiri zamaane me na ho khwah woh cheez deeni ho ya duniyawi(AshATullamaath Jild awwal safa 125) aur Bida'ath ki teen qisme hai Bida'athe Hasna, Bida'athe Sayyia, Bida'athe Mubah. Bida'athe Hasna woh Bida'ath hai jo Qur'aan wa Hadees ke wasool wa qawaid ke mutabiq ho aur unhi par qiyaas kiya gaya ho uski doo qisme hai. Awwal Bida'athe Waajiba jaise Qur'aan wa Hadees samajhne ke liye ilme nahav ka seekhna aur gumrah firke maslan Khaarji, Raafzee, Qaadiyani aur Wahabi wagairah par rad ke liye dalaayil qayam karna. Duwwam Bida'athe Mustahaba jaise madrason ki taamir aur har woh neik kaam jiska riwaaj ibtidaaye zamaane me nahi tha jaise azaan ke baad salaat pukaarna, durre muqtaar babul azaan me hai ki azaan ke baad Assalatu Wasallamu Alaika Ya Rasoolullaah Swallallaahu alaihi wa sallam pukaarna, maahe Rabbiul Aakhiar sun 781 Hijri me jaari huwa
aur ye Bida'athe Hasna hai.

©Rahimuddin Eraki

Biddath Kya Hai?

10 Love

Neha Rahim ©Rahimuddin Eraki

 Neha Rahim

©Rahimuddin Eraki

my Life Partner Dhanbad Govindpur

14 Love

 Neha weds Rahim

©Rahimuddin Eraki

Dhanbad Govindpur My life Partner Hum Dono Ki Jodi Salamat Rakhe Ya Allah Humko Hamesha khush Rakhe

180 View

#Motivational

222 View

192 View

Trending Topic