Kon hu mai?
Kya hai mera astitva?
Kya dhund raha hu mai?
Kesa dar hai dil mai?
Jise chupa raha hu mai
Kon hai apna mera?
Ek anjan sa dar
Kis disha mai ja rahi hai zindagi
Hai agyaat sab
Sawalo ka tufan umad raha hai ab
Inka Jawab dhundne ka sabar
Boht uljha hua hai sab
Suljhane ki koshish
Or bekhof aazad jine ki ichha
Sab apne andar liye chal rha hu mai!
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here