Mera pehla pyaar....
Bachpan mein ungli pakadke chalna sikhaya
Gir gayi toh uthya fir khud se uthna sikhya....
Mujhe Apne palkon mein sajaya....
Sath rahe Humesa banke Mera saya
Yehi hai Mera pehla pyaar...
Jab badi hui toh mujhe duniya ke sath chalna sikhaya
Humesha Na darke age badhne ka honsla dilaya....
Kabhi mujh pe shaaq na Kiya
Unka pyar mereliye kabhi kaam hone na diya
Haan yahi Hota hai sachha pyar.....
Mein haar jau toh bhi mere sath hote
Aur jeet jau toh bhi mere sath hote
Kabhi mujhe akele padne nhi Diya
Humesha mere sath rehne Ka wada Jo Kiya...
Kya yeh nhi hai sachha pyaar???
Mein aj bhi Ruth jau toh Woh bhi ro padte hai...
Aur haslu toh mere sath has bhi dete hai..
Haan mein bahut khus naseeb Hu
Aj ke iss matlab ki duniye me
Mujhe bematlab pyaar dele wala koi he....
Mera pehla pyar mere papa....
oye pagal sun......
Aj phir se Tu muje Yaad agaya
Aur mere ye ankhein bhar aya.
Ab Karu toh Karu kya ......
Jab akho ko BHI Teri adat si ho gayi
Tujhe samne dekhna inki chahat si ho gayi .
Khud ko chahe Kitna bhi busy rakhlu...
Par tujhe Yaad Karne se khud ko kaise rok lu
Kaise kahun ki tujhe bhulana Kitna muskil hai
Kyun ki Tu aj bhi Dil ke har ek kone mein samil hai
Aisa nhi hai ki Maine tujhe bhulane ki koshish na ki
Lekin harpal ye pagal Dil tujhe pyaar Karne ki khwaish ki
Iss bhulne aur bhulane ki kasmakash mein tujhe pehle se jyada pyaar Kar baithi mein....
Bass ab na ho payega tumhe bhulane Ka kaam
Jab dil, aur Jaan me sath mil Gaya hai humaara naam
Haan aur ek baat sun le Tu ..
Jinda Hu aj bhi there intezar mein....
Kabhi Yaad aye toh Milne toh aya Kar tu
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here