White Bematlab, bekhauf, bebaak hai dil.
Bachha bhi hai aur bhola bhi hai dil.
Dil mariz hai, rog hai, la-ilaaj hai.
Kabhi do pal ka sahaara hai dil.
Jhutha hai, farebi hai, dushman hai dil.
Chupi sachai hai, larne ka hausla hai dil.
Uljhan hai, andhera hai, galat fehmi hai dil.
Khamoshi ka sabab hai, khud ka marham hai dil.
Baatein isme samajh na aaye, kaafi pechida hai dil.
Ek nazar me sab kuch jaan le, itna aasan hai dil.
Dard ka samandar hai, aansuon ka sailaab hai dil.
Khushiyon ki khabar hai, sukoon ki dehleez hai dil.
Dabi hui chikhein, andekhi siskiyan hai dil.
Baatein bahot hai iski, khud ki kitaab hai dil.
Khoon se sana hua hai, khoon hi mangta hai dil.
Khud me hi jalta rehta hai, fir bhi zinda rehta hai dil.
Sari duniya se bhir jaye, itni taaqat hai dil.
Khud ko samjhate samjhate haar jaye, itna kamzor hai dil.
©Ananta Dasgupta
#love_shayari #Dil #anantadasgupta shayari on love sad shayari shayari status shayari in hindi