White Ae chand 3
Ae chand mera ek kaam karega kya
Ek shakhs duniya ke mele me kahin
kho gaya hai
Use dhoodh kr la de tu
Har roz gardish me ghoomta
Falak ka hai musaafir tu
Vo nhi to jese mai khud se hi gairhazir hu
Meri is kaifiyat se hai wakif tu
Dekh zra ye aanhe meri
Zra bata us jheel me to nhi giri koi pari
Ye palkon ki chilman hai barisho se bhari
Har su firta hai sehra e aasman ki khak
chhaanta tu
Meri bat kyo nhi maanta tu
Kati patang jesi ho gayi h zindagi meri
Veeran si koi gali hoti h tang vesi ho gayi h
zindagi meri
Sun ae raat ke musafir hum hai tere kadrdan
Dhoond ke la de vo insan
Jisne chalaye the kbhi nazar ke teer kaman
Bismil h bekrar ab tak hai khumar
Talkh hai waqt aur dard hai hazar
Yado ke dariche se raha mai pukar
Zehen se nhi jata uska ghuman
Tehreer dar tehreer me soorat numaya uski
Ek khamoshi si rehti hai
Lekin aaine me aqs uka bate karta hai beshumar
©qais majaz,dark
#GoodMorning