White Aise kyun hota ki jab aap kisi ko itne baar moukhe dete ho
aur o unn moukhe ko sahi karne k bajaye, aap ko kisi hadse ka zimmedar thehra deta hai? sab ki galtiyon ka ilzaam ek ladki par hi kyun aata hai, kabhi parivaar toh kabhi pyaar k chakkar me ek ladki hi kyun pisti hai ?
aisa kyun hota hai jab hum kisi par aankh band kar bharosa karte hain aur badle me o bharosa hamare dilon k jazbaaton ko tod deta hai?
kya zindagi me kisi se dil lagana galath hai? ya dil lagakar kisi par bharosa karna galath hai? kya ek ladki ki zindagi kabhi bhi aasan nahi hosakti?
kyun ghar waalon ko aur hamare chahne waalon ko har baar apne kirdaar ki safai pesh karni hoti hai? kyun rishton ko baitkar suljhane k bajaye ek dusre ko ilzaam aur dosh Diya jaata hai?
kya inn sab maslon me ek ladki ka dosh hai k o kisi se toot kar pyaar kare , ye ek badi galti hai samaaj me?
agar pyaar galath hi hai toh hame kyun pyaar aur mohobbat se rehne k liye sikhaya jaata hai?
jab ghar aur mohabbat me se kisi ek ko hame chunna pade toh ek ladki kisko chunne??
apne pyaar ko chunti hai apne ghar waalon k khilaaf jaakar toh ek parivaar zimmedar thehra deta hai.
aur ghar waalon ko chunti hai toh pyaar k khilaaf jaakar toh ladka galath samajh baithta hai?
iska solution kya hai??
mar jaana behtar hota hai ilzaam lekar?
ya mar kar parivaar aur pyaar ko azaad karna hota hai..??
©ayesha Siddique
#Romantic #ayeshasiddique #ayeshasiddiquewriter #nojotohindi