White Kabhi galat raah bhi de de nayi pehchaan,
Tod de bhram ko, mita de jhootha abhimaan.
Duniya ka shor jab khud hi chup ho jaaye,
Dil ka sannata ek geet suna jaaye.
Bulbule umeedon ke toot kar sikhaate hain,
Andheron mein bhi tare chamka jaate hain.
Khud se milne ka ehsaas tab hota hai,
Jab andar ka sannata ek nayi duniya roshan karta hai.
©Ishant Jaiswal
#sad_qoute hindi poetry on life