White We must be conscious when we speak!
Haa kuchh yahi mere man main aaya
Jab aaj subhe kisi ne baato hi baato main mujhe kuch suna diya , mujhe kuchh tane diye
Kya btau kante se chube rahe the jab vo bol jo mere kano mai pad rahe the
Magar mai khamosh rahi aur kuchh bolna
Sahi nahi samjha,
Vo bolne wale to meri khatirdari ka anand leke fir milne ki baat kahkar chale gayye,
Lekin mai ghanto tak unhi baton ko bar bar soch rahi thi
Mene unn bato ko itna socha ki mera sar dard iss had tak hone lga ki do chay pine ke bad bhi aram nhi aya so nhi pai
Kabhi mai roi kabhi bhagwan se ladi aur kaha ase jivan se achha to ap mout hi de dete mujhe alag alag shikayato ki list mere
Man mai chalne lgi aur ashuo ki dhara brhane lagi
Fir man behlane ke liye kabhi phone chlaya, to kabhi sone ki koshish ki kisi tarah ye kambakht sirdard khatm ho,
Aur fir sukun ki talash mai apne chhote bhanje ko uski maa ke pass se utha le aai ye soch ke ki sayad mera man badle isse khilane se
Haa kuchh asar hua bhi par dard abhi bhi kam na tha,
fir yuhi sote sote man main ek khyal aaya ki ye sabad kitane taqarwar hai ye kisi ka din kesa jayega ye nishchit kar dete hai ,
Kisi ko pure din ya lambe samay tak sunn kar dete hai,
mujhe ahsas hua bahut soch samjhkar bolna chahiye hume kyuki hum nahi jante humare kuchh sabad kisi ko self dobut to kisi ko suside karne jse vichar de sakte hai jaise ki aaj mujhe,
🙏 bolne wale ko ahsas nhi tha uske kuchh sabad mujhe kuchh ghanton tak kitna preshan karge
Kher ye akshar ho jata hai aise mai koshish kare atam vishwash aur self love ko bnaye rakhne ki 🙏😊
#we_must_be conciouse when we speak
@pinky_sharma
©pinky sharma 369
We must be conscious when we speak!
Haa kuchh yahi mere man main aaya
Jab aaj subhe kisi ne baato hi baato main mujhe kuch suna diya , mujhe kuchh tane diye
Kya btau kante se chube rahe the jab vo bol jo mere kano mai pad rahe the
Magar mai khamosh rahi aur kuchh bolna