Dear Maa- Maa tum itni acchi kaise ho sakti ho! | English Poetry

"Dear Maa- Maa tum itni acchi kaise ho sakti ho! Subah se raat tk hamari hi sunti ho, Apne dard bhulakar mujhe sulati ho, Apne aansu chupakar mere aankh ponchti ho. Maa tum kaise nhi thakti ho! Galatiyun pr tum bhayankar datati ho, Kabhi belan to kabhi chappal dikhati ho, Khud rulakar phir pyaar se gale lagati ho, Apne pyaare andaaz se tum sabko sambhalti ho. Tum hi ho jo mujhe sabse accha jaanti ho, Bina judge kiye meri hr baat maanti ho, Meri udaasi ko muskaan me badalti ho, Aur mere chanchal mann ko jhatt se kabu me kr leti ho. Sb kuch jaankr bhi khud ko anjaan dikhati ho, Meri choti si jeet ko bhi mahaan batati ho, Humesha khus rahne k tarkeeb sikhati ho, Maa ek tum hi to ho jo meri life ko Dear Zindaagi banati ho. ©Alka Jaiswal"

 Dear Maa-
Maa tum itni acchi kaise ho sakti ho!
Subah se raat tk hamari hi sunti ho,
Apne dard bhulakar mujhe sulati ho,
Apne aansu chupakar mere aankh ponchti ho.
Maa tum kaise nhi thakti ho!
Galatiyun pr tum bhayankar datati ho,
Kabhi belan to kabhi chappal dikhati ho,
Khud rulakar phir pyaar se gale lagati ho,
Apne pyaare andaaz se tum sabko sambhalti ho.
Tum hi ho jo mujhe sabse accha jaanti ho,
Bina judge kiye meri hr baat maanti ho,
Meri udaasi ko muskaan me badalti ho,
Aur mere chanchal mann ko jhatt se 
kabu me kr leti ho.
Sb kuch jaankr bhi khud ko anjaan dikhati ho,
Meri choti si jeet ko bhi mahaan batati ho,
Humesha khus rahne k tarkeeb sikhati ho,
Maa ek tum hi to ho jo meri life ko
 Dear Zindaagi
banati ho.

©Alka Jaiswal

Dear Maa- Maa tum itni acchi kaise ho sakti ho! Subah se raat tk hamari hi sunti ho, Apne dard bhulakar mujhe sulati ho, Apne aansu chupakar mere aankh ponchti ho. Maa tum kaise nhi thakti ho! Galatiyun pr tum bhayankar datati ho, Kabhi belan to kabhi chappal dikhati ho, Khud rulakar phir pyaar se gale lagati ho, Apne pyaare andaaz se tum sabko sambhalti ho. Tum hi ho jo mujhe sabse accha jaanti ho, Bina judge kiye meri hr baat maanti ho, Meri udaasi ko muskaan me badalti ho, Aur mere chanchal mann ko jhatt se kabu me kr leti ho. Sb kuch jaankr bhi khud ko anjaan dikhati ho, Meri choti si jeet ko bhi mahaan batati ho, Humesha khus rahne k tarkeeb sikhati ho, Maa ek tum hi to ho jo meri life ko Dear Zindaagi banati ho. ©Alka Jaiswal

#Mother'SDAYSPECIAL

People who shared love close

More like this

Trending Topic