sabz maddham raushnī meñ surḳh āñchal kī dhanak
sard kamre meñ machaltī garm sāñsoñ kī mahak
bāzuoñ ke saḳht halqe meñ koī nāzuk badan
silvaTeñ malbūs par āñchal bhī kuchh Dhalkā huā
garmi-e-ruḳhsār se dahkī huī ThanDī havā
narm zulfoñ se mulā.em uñgliyoñ kī chheḌ-chhāḌ
surḳh hoñToñ par sharārat ke kisī lamhe kā aks
reshmīñ bāñhoñ meñ chūḌī kī kabhī maddham khanak
sharmgīñ lahjoñ meñ dhīre se kabhī chāhat kī baat
do diloñ kī dhaḌkanoñ meñ gūñjtī thī ik sadā
kāñpte hoñToñ pe thī allāh se sirf ik duā
kaash ye lamhe Thahar jaa.eñ Thahar jaa.eñ zarā