Ek pal ko jab dusre hi pal aap se chhin liya jaye
Wo kahani ban jati hai,,
Kahani us ghari ki jaha pal bhi kabhi
tham jaya karti thi,
Kahani us intezaar ki jab har pal katna
badi mushkil lagti thi,
Kahani us lamhe ki jab maano koi sadiyo tak
use apni bahon mein kaid karna chahti ho,
Kahani us pal ki jab kisine koi waada kiya ho,
Kahani us pal ki jab wo wada tut-ta dikh raha ho,
Kahani us pal ki jab kisine aapka haat thama ho,
Kahani us pal ki jab koi pas hokar bhi saath na ho,
Kahani us pal ki jab maano pehli bar
kisi ki aankho ne shayad kuch bolne ki koshish ki ho,
Kahani us daur ki jab aap khud wo ghari ho,
Kahani us waqt ki bhi jaha har ek pal
koi aapse chhinke kahani bana raha ho,
Kahani us ghari ki bhi jab ye kahani khatam ho raha ho,
Par ye kahani hai kiski??
Shayad uski jo is kahani mein apni guzri kal dhund rahi ho
Shayad uski jo apni beetein hue pal ko is mein taalash rahi ho..
Par kya ye kahani un sabki nahi jo in palon ke hissedar ho?
Kya ye kahani un sab ki nahi jo in palon mein
kaid ho?
Kya un sab ki nahi jo kisike zindagi ho?
Kya ye sirf us insaan ki hai jo
in palon ko sameta ho?
Kya un logo ki nahi jinko sameta ho?
Kya ye sirf uski hai jo in palon ko
kahani bante dekh rahi ho..
...................
..........
......
....
....
... M..
.....
.....
.....
....
....
....
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here