"UMEED"
khet se aaya, hath pair dhoya
aaj na jaane wo garib bahut fut ke roya
mehnat karna hi jiski shaan rahi thi
us shareer main ab thodi si hi jaan rahi thi....
kabhi sukha kabhi baad, har chiz main uski haar
saalon guzri waise hi saanjh, aur zameen aaj bhi baanjh....
munne ke bade hone ki khusi ka asar bada tha
par doodh aur paani ka fark na samaj jaye is baat ka darr pada tha....
socho, is zillat main bhi wo garib kyun khada tha?
kyunki uski sukhi roti main ummed ka dhaan pada tha...
Boonden barsengi , faselen aur na tarsengi, pasina rang lanewala hai..
Jisne usse pala hai ,wohi KANHA uske munne ka bhi rakhwala hai....
Ummed rakhne walon se zingagi main khushhali hai ...
aur Haar manne walon ki thali sada khushiyon se khali hai.....
#Umeed