White *Umr kuch bhi ho
Bas dil javaan hona chahiye
Jab tak pyas ki intehan na ho
Maza nahi aata sheetal jal me
Ye duniya ye mehfil mere kaam ki nahi
Ab to khabar mujhe subha shaam ki nahi
Khwab me nikli hai ahayat goya
Ye zindagi mujhe gumaan si lagi
Toote hue dil e naadan ki hoti parwaz hi nahi
Be saya sa darakht hai
Andhera bhot hai charag tale
Khoya tha ek chand mera
Is deher e duniya me
Uska namonishaan na mile
Samjh sake rudad e gham jo
Esa insan na mile
Utha dil me shadeed gham
Foote darina zakhm
Tadap ke fir likhi nazam
To tooti kalam
Zindagi se badi hai har ek zakhm ki rakam
Har dil sheeshe ki tarh reza 2 ho jaye
Ye hai vo dard o alam
Syah shab ki zulm me uljhe hue hai hum
Aatish hai qalb me lehze hai narm
Betha hu besaya darkht ke tale aur jalta hai badan
Kabhi Tu bhi sunta kabhi aanhon ki pukar
meri hi tarh tu kabhi dhoodta mujhe
जो बनना चाहते हो उसकी अदाकारी तो बखूबी कर लेते हो
किरदार मे ढल के वैसा बन के क्यों नहीं दिखाते
©qais majaz,dark
#sad_dp