Kaise yha sab thehra sa hai
Ganga behti hui aur shiv ka pehra sa hai
Ek ajeeb sa sukoon hai hawaaon me
Shaant hua to samjha Mann kitna gehra sa hai
Sooraj ki tez kirane ganga me pad
Uska paani chamkeela kar rhi hain
Aur ye dekh antarmann aur aatma meri
Maya ki pakad ko dheela kar rhi hai
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Nishchint Mann ab kisi bhi iccha ke
Peeche nhi bhaag rha
Mai aur chanchal mann mera aaj ki tarah
Bht kam hi saath rha
Kabhi kabhi lagta hai ki aise sab kuch kinaare kar
Kisi nadi ke kinare aake baithna bht zaroori sa hai
Bhaag daud me pata nahin chalta ki shaant mann
Kitna maar rha khud ko aur kitna pasoori sa hai
.
.
©Prakharlikhtehain
Sukoon