Barsaat ka samye tha nukkad ki dukano me log barish se bachne ke lye khadde the. Charo traff baarish ke paani ki bundo ki awwaz kaan me tezi se padd rahi thi. Barish ki bundo se bheegi mitti ki khusboo mann ko baichen kar rahi thi , or bagal mai chai or pakkode ki khusbo mano apne pass bula rahi ho. Main bhi chata liye baarish se bach ke kisi paidd ke niche khada tha mere bagal me ek ladki aake khadi hogyi, wo aadhi meri chatri ke niche thi or aadha me chatri ke niche me aadha bheeg Raha tha magar chatri apni or puri karne ki himmat nahi hori thi, or udhar chai pakode mano mujhe pukaar rahe ho magar udhar jane ki himmat bhi nhi hori thi kyuki me bina wajhe uske lye sahara bana raha or use bhi mano uski aadat hogyi ho..
wo baarish ka mousam or woh