Roothe mizaaj ko apne bayan kar na saka
Adhoora tha mae fir bhi tujhse sawal kar na saka
Seene me lagi aag ka pata to tha hi nhi
Tere intezar me iska ilaj kar na saka
Jab bhi dekha hai aaine me khudki aankho ko
Teri maojoodgi ka isme Inkar kar na saka
Parinde ki parwaaz bhi ek sateh tak hoti hai
Zakhmi tha mae or udne ki shuruvat kar na saka
Tere zikr me ghish gae the hont mere
Un honto se nikle lahu ka hisab kar na saka