Chhote thhe to sapne bade thhe
Bade hue to jeb mein paise kam hain
Ye duniya samajhti hai aadmi ko zalim
Kise khabar hai usey kitne gham hain
Bheed mein phirta hai jo muskurata hua
Tanhai mein usi ki aankhein nam hain
Khud ki zaroorat se aage rakhe apno ko
Aur apne kehte hain ye bhi kam hai
Paise se dekhi jaati hai aukaat aadmi ki
Duniya acchi hai tere saath tera veham hai
Log kar dete khatam tujhe to kabka
Tu bacha hua hai maalik ka reham hai
Tu aadmi hai teri shaqal ka kya banega
Roti kama kar la jo tujhmein dum hai
Tujhse ummeed hai sabko par teri nahi
Baat samajhle "Virakt" waqt kam hai
#KamalVirakt
©Kamal Kant Sharma
#Zamana #Aadmi #zaroorat #Shayar #gham