Talaash
Kabhi kuch sawaal mushkil q hote h
To kabhi un sawaalo k jawaab mushkil q hote h
Kabhi kuch tay kar paana mushkil q hota h
To kabhi jo kuch hum chaahte h wo paana mushkil q hota h
Kabhi jo kuch hum sochte h wo sirf soch hi q reh jaati h
To kabhi kuch mushkile kam q ni ho paati h
Kabhi zindagi k kuch faisle lene mushkil q hote h
To kabhi zindagi k kashmakasho aur asmanjaso mein hi bas hum ghire huye q hote h
Na inn sawaalo k jawaab h
Na inn ka kuch ilaaj h
Ab to bas aur kuch nahi
Sirf Chain-O-Sukoon ki hi talaash h
©lamhon k ehsaas by Priyanka
#talaash #Poetry #Nojoto