khayal
Aksar man mein khyal aata hai
Samaj mein ho rahe anginat,asankhy nindniy apradhon
per ek kitab likhun.
Fir khyal aata hai kya likhun,kise likhun aur kya chhodo.
Likhane ko bahut kuchh hai per kya mere likhane matra se aur aapke padhne Matra se samaj mein kuchh naya badlav aaega.
Din pratidin ki ghatnaon se man Kai bar itna vichalit hota hai sochati hun ham aise samaj mein kyon rah rahe hain
Jahan per nari Samman nahin,bacche surakshit nahin.
Ho sakta hai hamare aas-paas,Hamare sath koi ghat lagaya
baitha ho
Kab uski gandi najar,uske gande vicharr kisi pakiza ki
aabru loot le jaaye.
Sirf stri ko Durga kahane Matra se kuchh nahin hone wala
Uske hath mein astra-shastra dene se bhi kuchh nahin hone wala
Apni Suraksha mein use Shastra prayog ki azadi Deni ho
Vah satyug tha jis Yug mein Shri Krishna dropadi ka chir haran bachane swayam prakat hue the.
Kalyug mein stri ko swayam Shri Krishna bankar apni Raksha ke liye dhastra uthana hoga.
Shri Krishna ne bhi shishupal ka sau apradh kshma kiya tha aur ek so ve apradh per use dand diya tha. Magar Aaj Jo darinde samaj mein khuleaam ghoom rahe hain unka ek bhi apradh kshma yogya nahin hai
©Pushpa Rai...
#NirbhayaJustice
#vichlilmann
#nojoto
#motibationalquote
#Date:19th August 2024