Dear Maa,
Aap bahut yaad aate ho mjhe...
Kabhi kabhi neendo Mai sehlate ho mjhe...
Aankh khulte hi yaad aa jate ho...
Phir apke tips se shortcut apnati hu...
Ghar k kaam kar, independent girl ka taaj pehen, office nikal jati hu...
Thandi roti khate hi, apke khane ki yaad aa jati hai...
Kaise school tution se aate hi...
Bhook lagi hai bolne se phele hi...
Bhar pait khilati thi...
Aaj koi nahi aaisa puchne ko...
Koi nahi dard batne ko...
Sabko bus apni padi hai...
Sab kuch karne k baad bhi, zindagi ruthi padi hai...
Shayam ko padhne k liye bolna, tv kam dekhna ye baar baar kehte rehna...
Aaj bhi wo aawaz gunj jati hai...
Aksar band TV ki pukar ansuni kar di jaati hai...
Aab toh waqt hi nahi, aaisa lagta hai...
Tujhse milne k liye bhi permission ka ticket lagta hai...
Duniya aaisi hi hai sunna tha...
Ek bache ko uski maa se milna bhi dubar ho jayega, ye jeete jee mehsus kia tha...
Aap bahut yaad aate ho mjhe...
Aap bahut yaad aate ho mjhe...
©Poshali Gupta
#teatime#maa#TeaTimeThoughts