Kashti ke kandho pe hoke sawar, chale zindagi ki nav kishi door desh
Gahre samundra se jajbat mere, rawani jiski dugni tez
Karta kolahal badhte chala, uss shant sagar ke teer tale
Sannata charo taraf hai faili, bhara ander mere kitna shor
Sahil ki taraf laga bhagne, hokar ke mai bhao vibhore
Do sahil ke bich khada tha, khichte dono apni orr
Andheri duniya se bhagke, dekhne chala mai kal ka bhor
Sagar ke uspar basa hai, jhilmil taro ki duniya
Chalo chale hum bas jaye fir, kare mukammal sapne sabhi, bhule bisre yado tale hum khoje sare apne sabhi
©Muntashir Soul
Kashti pe hoke sawar
#peace