fir chand a gya fir suraj a gya,
chand ne socha ki wo suraj se pehle a gya ,
suraj ne socha wo chand per vijay pa gya ,
fir ek din beeta or aasmaa saaf thaa ,
ek taraf suraj tha or ek taraf chand tha,
suraj kehta mai ujala deta hon in logo ko,
chand kehta teri grmi se sheetal deta hon mai logo ko,
suraj kehta dekhte h log meri wajah se,
chand kehta mai hon karan logo ke sulaane ka ,
suraj krhta kaam krte log mere ujale mai,
chand kehta mai sukoon deta hon andhiyaare mai,
fir suraj ne iljaam lagaya chand per or kaha ki tum karan alas ka,
fir chand bhi bol pda ki tum karan ho thakabat ka...
aasma ne samjhaya ki tum dono hi jaruri ho,
logo ko dhup or sheet alta dono hi chaiye ,
apna gussa shant kariye or yaha se jayiye ,
apna apna kartabya dono hi nibhayiye...
fir suraj gya or raat ho gayi ,
fir chand a gaya fir suraj a gaya
©LWMT (Ansh)
#2023Recap