7/7/81 me devki ka lal hua,
Hasta hua dekhkar mahendra uska naam hua,
Bachpan se hi jaise cricket unka dharm or woh sachin sir ka poster maano unka bhagvan hua,
Woh batting ke saath keeping ek karamati ka kammal hua,
Khelne ke saath 800 ruppey mein railways mein naukari ka bhi intezam hua,
Hansi khel ke saath zinmmedari bhi unke saath aai, khud ke saath apni family bhi usne sambhali,
Ganguly or performances ke dam pe apni team me jagah paayi,
Captain bankar jab paheli hi baar mein t-20 world cup dilaya tab naye india ki usne alag hi pahechan banayi,
Naye players ko team mein jagah dilayi, khud ki position ka sacrifice karke usne talent ko nai raah dikhai,
2011 me world cup me india ne mehman navazi karai,
Wo wankhede mein aakhri chakke ne 1983 ki yaadein taza karai,
Test mein bhi no. 1 hokar usne team ko shikhar ki bulandi pe pohchai,
Padma bhushan, padma vibhushan ne maano uski ijjzat jaise or badhai,
Eklauta aisa captan hua jisne sabhi trophies apne desh mein layi,
Cricket ke saath saath usne har ek ke dil mein bhi apni kagah banayi.... ❤️
#happybirthdaymsd
@wordsofshiv
™ɾαѵαղ🔥
©wordsofshiv
#HappyBirthdayDhoni