'' WAQT''
Din gaye beet jab waqt tha beshumaar
Na thi koi chehre pe shikan Na dilon mein bhaar
Samay Ki thi satta aur khushiyan thi waqt Ki pehredaar
Maano chaar Din Ki zindagani mein jeeye ho hazaar saal
Tanhayion se the milon dur
Dilon mein tha beinteha pyaar
Har mausam mauj ka tha Har pal thi bahar
Waqt ko bhi maano rehta ho jaise Har lamhe ka intezaar
Zindagi aise bhaag rahi thi maano
Zindagi ko mil gyi ho waqt Ki raftaar
Hua Yun Ki Waqt badla Badal gye apne
Jo Kal ko haqeeqat Hua krte the wo ho gye ab bure sapne
Palon ko churaya krte tha jinke liye Waqt Ki panaho se
Aaj halat bhi Waqt ka hisab maang rahe bekadron ke gunaho se
Aaj tumahra hai Kal humara bhi aayega
Waqt kahan kisi ke liye thehra hai ye Waqt hai bahut kuch seekhayega...
WAQT WAQT KI BAAT HAI..