Muddatto se kai javabo ko khojne ki aas me tha,
Kho dene par khudko zara nirash sa tha,
Bohot chal diya dusro k bataye raasto par,
Aab to bas sahi musafir ban khudki hi talash me tha....
Chal pada un rasto par to ek din mila use sahi raah dikha ne wala,
Milne par Kehta he vo uparwala k e musafir, tujhe manzil ka pata nahi tu ese raaste par chal pada tha,
Bhitar ye shor tha tere magar fir bhi tu zid par ada tha...
Puchha usne bhi rab se ki kyu vaha me Zindagi me hatash sa tha,
Hans kar bola vo bhi,
Jine ko chhodkar tu sirf Zinda rehne ki talaash me jo tha...
Soorat savarta tha usi se noor pane ki koshish me rehta tha,
Naa jane konsi bandish me jeeta tha,
Har koi tere jesa ban betha tha...
Musafir bola, hame apno se hi dukh mila auro se kaha koi shikayat thi,
Ghar ghar ki baat hai ye to esi rivayat jo thi...
Ro kar bola vo bhi k mene duniya me sabse upar rishto ko nayab kaha he,
Lekin aaj unhe bas tutta bikharta hi paya he...
Dekhkar us Musafir ki halat, gira ek ashq khuda k aankho se jo moti ban betha,
Fir Bola ki Kabhi narmi se un ruthe huo ko manana bhi sikhta,
Mithas jab aa jaye un rishto me esi dararo ko mitana bhi sikhta...
Dikha deta insaniyat k liye vo ruhaniyat,
To Luta deta tujhpe me apni sari innayat,
Taskin milti, jhumne lagta, khushi ki leher ho uthti dil me,
Bhatakte rasto par jo chalte the, le chalti tumhe tumhari asli manzil me....
©VIDHI MODI
#peace